Thursday, June 16, 2016

Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe

Cpmputer or laptopp  मे कौनसा बेहतर है


Jo Log new Computer lena chahate hai unke
pas 2 option hote hai Desktop computer ya
Laptop. wese aajkal log desktop ki tolna me
laptop hi jyada kharidte hai. kyuki ise aasani
se kahi bhi le ja sakte hai. lekin agar dwsktop
or laptop ki tulna ki jaye to desktop computer
laptop se jyada sahi hota hai. is post me hum
isi ke bare me bat karenge.

Computer kharidne se pahle humare dimag
me ye bat jarur aati hai ki desktop le ya
laptop. is confusing ko dur karne ke liye mai
aapko dono ke bare me kuch important bate
bta raha hu. jinhe janne ke bad aap aasani se
ye faisla kar sakte ho ki aapke liye kya
behtar hoga or aapko kya lena chahiye.

Computer Vs Laptop
Kounsa Behtar Hai?
Is post me btayi gayi bato ko janne ke bad
aapko kisi se puchne ya salah lene ki jarurat
nahi padegi or aap apne hisab se khud faisla
le sakte ho.

1 – Keemat (price)
Computer ya laptop kuch bhi lene se pahle
hum sabse pahle uski keemat par dhyan dete
hai. ye sabse ahem or important bat hai. aaj
ke time me aapko computer or laptop dono
saste damo par mil jayenge. but dono ki
price ki tulna ki jaye to laptop mahnga hota
hai. ek acha laptop lene ke liye aapko kam
se kam 30,000 rupees ki jarurat hoti hai jabki
desktop computer 20,000 se 25,000 tak ki
keemat me mil jata hai.

2 – Screen
jab aap market me computer lene jate hai to
aapko laptop to pasand aa jata hai. lekin uski
screen pasand nahi aati hai. ayse me
desktop laptop se better nazar aata hai kyuki
usme aap apne manpasand ke size ka
moniter le sakte hai.

3 – Design
pahle ki tulna me aajkal market me bahut
patle laptop aane lage hai. or inhe banane
wali company or bhi behtar karne ki koshish
kar rahi hai. desktom design ki tulna me
laptop se bahut piche hai. kyuki desktop ka
CPU kafi bada hota hai. ab ye aapko sochna
hai ki aapke pas CPU ke liye jagah hai ya
nahi.

4 – Processor and Ram
Laptop ho ya computer Processor and Ram
sabka jaruri part hota hai. kyuki processor
par inki speed depend karti hai. yani
processor ki speed jitni jyada hogi computer
utna hi fast work karega. aajkal motherboard
ke processor change bhi ho jate hai. lekin ye
computer me aasan hota hai laptop me nahi.
sath hi computer me saste me processing
badhayi ja sakti hai. second bat ram dono me
badhayi ja sakti hai. dono me iska option hota
hai.

5 – Keyboard and Mouse
Laptop me ek time ke bad Keyboard and
Mouse kharab ho jate hai. ya keboard ka koi
button bhi kharab ho sakta hai. ayse me
aapko ise service center le jana hoga or isko
repair karana hoga. jiska charge computer ki
tulna me bahut jyada hota hai. jabki
computer me Keyboard and Mouse kharab
hone par aap 200-300 me new la sakte ho.

6 – Hard Disk
laptop kharidte waqt hum jyada hard space
wale laptop lena pasand karte hai. kyuki
laptop me hard disk badhane ka option nahi
hota. wese aap external hard disk use kar
sakte ho. magar computer me hard disk
badhane ka option rahta hai. sath hi isme
aap ek sath kei internal or external hard disk
use kar sakte hai.

7 – Gaming and Graphic
Bahut se puarane laptop ya desktop me
graphics card nahi hota. ayse me aap
computer me to graphic card laga sakte ho
but laptop me iska option nahi hota hai. yani
gaming ke mamle me computer laptop se
better hai. wese aajkal laptop me bhi Gaming
and Graphic aata hai. but ye comuter ke jitna
speed nahi deta hai.

8 – Assemble and Life
Dsktop ek aysa computer hoa hai. jise user
apni marzi ke anusar Assemble kar sakte hai.
yani processor, ram, hard disk, graphic card
jaise kei hardware apni marzi se use kar
sakte hai. magar aap laptop me aysa kuch
nahi kar sakte. dono ki life ki tulna ki jaye to
computer laptop se kei year jyada chal sakta
hai. jabki laptop bahut jald kharab ho jata hai.
iski sabse badi wajah hai laptop ka jagah
badal badal kar istemal karna jabki computer
ko ek jagah par hi use kiya jata hai.

9 – Repair
iske bare me to aap jante ho hai ki laptop me
jara si kharabi aane par bhi use pura khola
jata hai. jiska charge bahut jyada hota hai.
jabki computer me har part alag alag hote
hai. isliye kisi ek ke kharab hone par sirf usi
ka charge lagta hai. jo ki bahut saste me ho
jata hai. dusri bat laptop ko repairing ke liye
aapko service center le jana hoga or waha
ise kuch day ke ke liye chodna bhi pad sakta
hai. jabki computer ka koi part kharab hone
par hum use ghar par bhi kisi mwcanic se ya
khud laga sakte hai.

10 – Update
Kisi bhi desktop ki sabse achi bat hoti hai ki
aap use update kar sakte hai. yani processor,
ram, hard disk, graphic card and other kisi bhi
hardware ko badal sakte hai. jabki laptop me
ram ke alawa dusre kisi bhi hardware ko
badlna aasan nahi hota hai.
Upar btayi bato ko janne ke bad aapko ye to
pata chal hi gaya hoga ki aapke liye kya
better hai to ab aap kya kharidna pasand
karenge. or agar aapko computer ke bare me
koi or sawal puchna ho to comment me puch
sakte ho.



I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar
ha to humari site ki or bhi post pade. i
promise aapko achi jankari milegi. sath hi aap
bhi is post ko share karke humari help kar
sakte ho. or agar aapko humari site par koi
jankari nahi mile to comment me btaye hum
uske bare me post karne ki koshish karenge.




No comments: