Thursday, June 16, 2016

Mobile Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare [ Teck Tips ]

मोबाइल का डाटा delete होने पर डाटा रिकवर केसे करे


Smartphone ki memoery badhane ke liye
hum phone memory me se jab extra files
delete karte hai to galti se kuch jaruri file bhi
delete ho jati hai. Jab humare sath aysa hota
hai to hum pachtane ke siwa kuch nahi kar
sakte or sochte hai ki ab to ye file humesha
ke liye remove ho gayi hai. But hum galat
hote hai kyuki aaj ke is technical jamane me
har bat ka tod hai or har problem ka solution
hai. Technology ki help se hum apne android
phone ka data delete hone par wapis pa
sakte hai.

Is post me mai aapko bta raha hu ki
smartphone me se delete huye data ko hum
wapis kaise pa sakte hai. Iske liye bas aapko
mobile ki basic jankari honi chahiye or aap
kuch simple step follow kar ke apne mobile ki
remove ki gayi memory wapis recover kar
sakte ho.

Bahut bar humse mobile me se humare kaam
ki files delete ho jati hai or hum unke liye
pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte. Don’t
worry ab hum mobile ka data bhi recover kar
sakte hai. Bilkul wese hi jaise computer hard
disk ka data recover karte hai.

Post me btaye gaye step ache se follow kare
kyuki data recovery me jara si galati se
aapka data humesha ke liye delete ho sakta
hai and or bhi koi problem ho sakti hai. So
pahle puri processing ko ache se samjhe le.
Uske bad hi data recover kare.


Android Phone Ka Jaruri
Data Delete Hone Par
Recover Kaise Kare [ Teck
Tips ]

Agar aapko Apne smartphone ka data wapis
lana hai to sabse pahle aapko computer me
mobile data recover karne wale kuch apps
install karne padenge. Inki help se aap aasani
se apne android mobile ka data recover kar
sakte hai. Mai aapko yaha step by step
processing bta raha hu. Aap follow kar sakte
ho.
1. Sabse pahle aap EaseUS
MobiSaver data recovery software
download kar apne computer me install
kare. Ye apps $40 ka hai. But aapko
iska free version mil jayega.
2. Data recovery apps ko PC me install
karne ke bad apne mobile ko computer
se connect kare. Aap USB cable se
android phone ka computer se jod sakte
ho.
3. Ab aapko computer me apne mobile ka
Full Axes dena hai.
4. Uske bad smart phone ki setting me ja
kar About phone par click kare.
5. Yaha aapko ek bild number ka option
milega. Is par aapko tab tak click karna
hai jab tak ki “Developers on” ka option
show na ho.
6. Iske bad setting option par jaye jaha
aapko developer ka option milega. Is
developers option me ja kar phone me
dibging ko on kare.
7. Ab jaise hi mobile connect hoga to data
recovery apps aapko axes se related
kuch message show karega. Is message
par ok par click kare.
8. Iske bad jaise hi aapka mobile data
recovery apps se connect hoga to
aapko mobile ka sabhi data dikha kar
pucha jaega ki aap kon konse
documents ko recover karna chahate
hai. Yaha aapko jo data recover karni
hai un par select kare.
9. Aap jaise hi documents par select kar
ke click karenge. Data recovery apps
aapka data recover karna shuru kar
dega.
10. Agar data recovery processing start ho
gayi to samjhiye aapka data recover ho
raha hai. Isme kitna time lagega ye
aapke data size par depend karta hai.
Jitni jyada MB ka data recover karoge
utna hi time lagega.

Is tarah se aap apne mobile ka khoya hua
data recover kar sakte hai. But kei bar data
recover nahi ho pata hai. Isliye is bat ki koi
guaranty nahi hai ki aapka data 100% recover
ho jayega. Kuch virus ki wajah se aapke
mobile ka delete hua data recover nahi bhi ho

sakta hai.










No comments: