Thursday, June 16, 2016

Online Typing Sikhne Ke Liye Best Free Tools Teach Yourself

आप यहा Online typing सीख सकते है



Typing karna to aapko aata hi hoga but agar
aap bina keyword ki or dekhe typing karo to
kitna acha hoga. Isse aap kam time me jyada
typing kar sakoge. Aapne bahut se logo ko
dekha hoga ki wo log bina keyword buttons
ko dekhe fast word type karte hai. Agar aap
bhi bina dekhye typing karna chahate ho to
ye online free typing tools aapke kaam aa
sakt ihai.

Yaha mai aapko jin tools ke bare me bta raha
hu unme se kuch games hai. Jinme aapko
interest bhi hoga or game khelte khelte aap
typing bhi sikh jaoge.

Typing aapke desktop ke alawa tablet or
smartphone me bhi kaam aati hai. Mobile me
message type karne me aasani hogi or aapke

Online Typing Sikhne Ke
Liye Best Free Tools Teach
Yourself in Hindi

in my case, Maine bhi ays ihi online tools se
typing sikhi hai or aaj mai achi typing kar leta
hu. So mere experience se aapk in typing
tools se apni typing speed ko improve kar

sakte ho.

1. BBC Dance Mat Typing: Agar aap typing ke bare me bilkul new ho or
aapko iske bare me thodi bhi jankari nahi hai
to BBC Dance Mat Typing tool aapke liye
sabse better hogi. Isme aapko sabkuch
simple styel me sikhaya jayega.
Ye tool specialy bachcho (kides) ke liye hai
or bilkul game ki tarah typing sikhati hai.
Sath hi isme cartoon features hote hai. Jinse
bachcho ka isme or jyada interest badh jata
hai. Aap bhi ise try kar sakte hai. Isme aapko
figure typing test btaya jata hai yani ki
kounse ugli se konsa button prase kiya jata
hai.

2. Typing.com: Ye new people ke liye ek or online typing
sikhne ki free websites hai. Isme aapko
typing sikhne ke interactive tutorial milenge.
Jisme aapko step by step typing ke bare me
btaya jayega. Typing.com tool par aapko
bahut sare lession milenge jinme aapko voice
ke sath mistakes btayi jayegi jisse aapko
words type karne me or bhi aasani ho jayegi.

3. Typing Study: हिंदी में टाइपिंग
सीख

Typing stuty tool par aap US English, UK
English, Hindi, देवनागरी, Nepali ans
other bahut sari languages me typing sikh
sakte ho. Isme aapko english and other
bhasha me keywords diye jayenge aapko wo
type karne hai. Uske bad ye tool aapki typing
time, per minute words and mistakes average
ke bare me information deti hai. Iske alawa

bhi aap Tipp10 tool ko use kar sakte ho.


Typing Speed Ko Improve
Karne Ki Online Top Free
Game

Upar aapko jo tools btayi hai. Un par aap
online typing sikh sakte ho or agar aap pahle
se thodi bahut typing jante ho to aapke liye
ye games bahut kaam aa sakte hai. In par
aap achi practise kar sakte ho or apni typing
speed badha sakte ho.

1. Z-type: Z-type ek shooter game hai jisme aapko word
type karke shoot karne hai. Isme aapki typing
speed depend karti hai. Aap jitni jaldi
kwywords ko shoot karoge utna jyada aapko
score banega. Slow typing karoge to game
over ho jayega. Is tarah isme aap manoranjan
ke sath apni typing speed bhi better kar
sakte ho.

2QWERTY – crazymonkeygames
Ye game bhi bilkul first game ki tarah hai. Its
my favorite game, Mujhe ye game first wale
se jyada pasand hai or shayad aapko bhi ye
pasand aayega. crazymonkeygames par aap
easy, normal and hard kei level ke game khel
sakte hai. Aap jaise hi word ko shoot karoge
isme killing voice sunayi degi or iska
background sound bhi aapka dil jeet lega.
3. Type Racer
Type Racer game me aapko car racing karni
hogi. Bas isme aap apni car ko word type
karke run karoge. Really amazing game hai.
Aap jitni teji se word type karoge aapki car
utni hi fast chalegi.
4. 10 Fast Fingers
10 Fast Fingers game me aapko online score
banana hoga. Isme aapki typing speed record
hoti hai or score ke hisab se typing performance report show hoti hai.
Finally, Post me suggest ki gayi typing tools
and games sach me aapki typing speed ko
faster kar sakti hai. Agar aap daily 1 hours
bhi typing tools ya games par bitaye to
aapko next 5 day me hi changes nazar
aayega. Or sabse achi bat inse aapki typing
character mistake bhi solve ho jayegi. Agar
aap typing ache se jante hai or aapko word
type karne me keybord me wrong button
dabane ki problem hai to ye game aapki help
kar sakte hai.


I hope ye post aapke liye helpful sabit hogi. Ager aapka koi sval hai to aap comment krke puch skte hai.























No comments: