Tuesday, June 14, 2016

Confidence Kaise Badhaye

अपना आत्मविश्वास बढ़ाने के टिप्स


Kai logo me confidence ki bohot kami rehti he,
usi karan unko talent hone ke bavjud bhi wo
apna talent nahi dikha pate. Koi confidence ke
abhav ke karan stage par bolne se darta hai.
Confidence ke kami ke karan koi ladki se bat
karne ki himmat nahi juta pata. Padhiye ye kuch
khas tips aur impress kare logoko apne
confidence se. Chaliye Jante hai ki Confidence
Kaise Badhaye asaan bhasha me.


          1. Apne nakaratmak vicaroko pahchane

Apne nakaratmak vichar hi apne confidence ya
atmavishwas ko kam karte hai. In nakartmak
vicharo me jyada iss prakar ke vichar aate hai,
“Mai aisa nahi kar sakta hu ya Mai aisa nahi kar
paunga”, “Mai kuch bhi nahi hu”, “Agar mai aisa
karta hu to ye sahi hoga ya galat”, “log kya
kahenge, kya sochenge, ye kaise kare”.
(Confidence Kaise Badhaye).

Aise alag alag prakar ke maan mai bahut sawal
aate hai, jis ke karan khudka atmavishwas kam
ho jata hai. Ye hamesha yad rakho jo talent
aapme hai, dusre kisi me nahi. Aap khudko
mahatwa dena start kare. Baki duniya apne aap
importance dene lagegi. Khud me badlav lana
bohot jaruri hai.

Sakaratmak vichar matlab positive thoughts jo ki
bohot important hai, usse aapki life badal jayegi.
Din ki shurwat sakartmak vicharo se shuru kare.
Isse hamara 90% atmavishwas badh jata hai.
Pahale to nakaratmak vicharo ko sakartmak
vicharo me badale, jaise ki “Mai ye kar sakta hu”,
“Sab log mari baat sunenge”, “Aaj ka din mera
bahut aacha jayega”, aisi sakaratmak vicharo se
agar aap din ki shurwat karte ho to para din
aacha jata hai.

Ek din ye prayog kar ke dekhiye, aap khud hi
man jaoge, ki is me kya jadu hai. (Confidence
Kaise Badhaye).

           2.Sakaratmak network banaye rakhe
Apne sathi, maitra pariwar me apni taraf se
hamesa vichara ko unke samne rakhe, isse unke
sath aacha communicton badh jata hai aur
sakartmak vicharo ki bhi adala badali hoti hai.
Apne sathi ya mitra pariwar mai kai nakaratma
vicharo wale logo se thoda dur rahe queki unka
sangat se apne sakartmak vicharo pe bura asar
padata hai, issliye hamesa sakartmak vichar ke

mitra pariwar ya sathi ke hi network me rahe.

               3.Apne pratibha ko pahachane
Har koi aacha hai, isliye apne undar ke pratibha
ko jane. Yah sab apne kala, sangit, lekhan, nrutya
ke bare mai hai. Jis karan ham apne hi undar ke
pratibha ko aachhi tarah jan kar apne pratibha ko

jankar apna atmavishwas badha sakte hai.

               4.Apne aap par garva kare
Aap apni kaushalya aur pratibha par garva
mahasus karna chahiye. Iss karan se aap apna
atmaviswas badha sakte hai. Khudake ke
pratibha ko janiye. Jaise ki, “me iss tanav ka puri
tarah samna kar sakta hu”, aise sakaratmak
vicharo se aur khudpar garva karne se apna

atmaviswas badh jata hai.

                5.Muskuraye aur aaine mai dekhe
Muskurayke aur aaina mai dekhne se hamara
100% atmaviswas badh jata hai. Muskurake aaina
mai dekhne se hame pata chalta hai ki hamare
sakartmak vicharose hamara atmavishwas badh
gaya hai. Issi karan hame hamare chehare par
khushi dikhti hai aur hamara atmvishwas bad jata
hai.
Sabse mahatwapurn baat “Khud par bharosa
rakhe” isse hamara Atmavishwas badha kar
hame aachi aur khushi bhari jindagi deta hai.

Aapko ye article kaise laga niche comment me
likhiye.

No comments: