Thursday, June 16, 2016

Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare

मोबाइल फोन खोने पर उसकी लोकेशन का केसे पता करे


Aaj ke time me har kisi ko jaldi hoti hai. Itni jaldi ki hum apne aap ko bhi bhool jate hai.
Ayse me apna smartphone kahi bhool aana aam bat hai or hume mobile lene wapis jana padta hai.

But problem tab hoti hai jab hum
apne mobile phone ko kahi rakh kar bhool jate hai ya fir mobile kahi par gir jata hai kho jata hai.

But google ke pas iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aapka phone aapko aasani se mil jayega.

Mai is post me aapko aysi trick bta raha hu.
Jisse aapko aasani se apna khoya hua phone mil jayega. Mera matlab hai ki hum google ki
madad se apne phone ki location pata kar sakte hai. Google hume phone ki jo location btata hai uska dayra 24 meter ka hota hai.
Or 24 meter ki jagah par hum aasani se apne mobile ka pata laga sakte hai ya uski ring sun skte hai.

Mobile phone khone pr in tips ka use kre

google se apne khoye huye mobile ka pata lagane ke liye aapke khoye huye mobile me kuch cheezo ka hona jaruri hai. Inke bina aap apne mobile ki location pata nahi kar sakte.

1. Aapke khoye huye mobile me
     internet chalu hona chahiye.
2. Mobile me location ki services       activate honi chahiye.
3. Mobile me google apps insall         hona jaruri hai. Or latest version     hona chaiye.

Agar aapke mobile me ye 3 option available hai to don;t worry aapka khoya hua mobile aasani se mil jayega. Bas aapko google ke kuch simple step follow karne hai.Jinke bare me mai aapko step by step bta raha hu.


Apne smartphone ka pata lagane ke liye aapko computer ki jarurat padegi kyuki Mobile me ye trick kaam nahi karegi .
Mobile me aap android device manager use kar sakte ho.

aap google.com site par jaye or apni us gmail id se log in kare jisse aapne khoye huye mobile me log in kiya hua hai. log in karne ke bad google search box me “ Track My Mobile” Likh kar search kare.


2. Yaha check kare ki google aapka sahi
mobile search kar raha hai ya nahi.
3. Thodi der me google aapke mobile ki
location track kar lega. Uske bad aap us
jagah par jaye.
4. Google ke btaye place par pahuchne ke
bad aap Ring option par click kare. Isse
aapke mobile me 5 minute tak full
aawaz me rink hogi. Agar aapka mobile
silent mode par hoga to bhi ring bajegi.Jise sunkar aap apna mobile aasani se dund skte hai.

Ager ab bi aapko koi problem aa rhi hai to aap pehle“mobile phone ka
pata karne ke liye mobile me kya kya on
hona chahiye uski jankari k liye yaha click
kare. [ link: ]” par ja kar iske bare me puri
jankari pata kar le.






Agar aapka is post se related koi sawal hai
to aap comment me puch sakte ho.









No comments: